Age: 125
6860 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yes it's quite right kay her dafa aap apni khushi kay liay nahi badaltay aap ko baz auqat doosroon ki aur baz auqat is duniya kay asoolon kay tahat chalnay kay liay apnay aap ko na chahatay hoay bhi badalna parta hai for example main her aik say bohot ghul mil janay wali kind ki girl thi laikin main nay apnay experiences say learn kia kay yeh hi baat aksar auqat meray liay ghalat sabit hue to main nay apnay ander change laya aur aaj main kuch reserve rehti hoon aur kisi ko khud say zayada free honay nai daiti aur main nay is kay bohot achay result daikhay hain aaj log kuch bhi meray aagay bol nai daitay. believe me main nay khud main yeh change lanay kay liay bohot mehnat ki hai aap samajh saktay hoon gay kay jo cheez aap ki personality main na ho wo lanay kay liay aap ko kitni mehnat karni parti hai. so meray paas aisi bohot si examples hain jo kay main nay apnay life experiences ki base pay mehsoos kar kay khud main changes lai hain.
Age: 125
6860 days old here
Total Posts: 113
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Theek hai janab maan laitay hain kay insaan bohot bara dirinda hai to ab is say aagay aap kia kehna chahain gay ta kay yeh topic kuch mazeed aagay barhay. kyun k aap nay sirf insaan kay dirinda honay ki baat ki hai aur agar sub maan lain kay yeh theek hai to ab aur kia kaha ja sakta hai?